ye justuju hai ki dariya-e-moatabar mil jae
ye justujū hai ki dariyā-e-mo'atabar mil jaa.e
vagarna pyaas ko sahrā-e-ḳhushk tar mil jaa.e
kabhī na ḳhatm ho aisā koī safar mil jaa.e
jo na-shanās-e-safar ho vo rah-guzar mil jaa.e
junūn-e-shauq ne chhānī hai ḳhaak dar dar kī
ye soch kar ki kahīñ ḳhizr dar-ba-dar mil jaa.e
shikast-e-tīra-shabī kā koī surāġh mile
maiñ shab kuredūñ to shāyad koī sahar mil jaa.e
jabīn-e-nāz kā har zaḳhm phir chaTaḳhne lagā
ai nā-murādī-e-dil ab to sang-e-dar mil jaa.e
havas-guzār hai bezārī-e-sukūn-e-dil
koī to zarb lage koī to zarar mil jaa.e
dayār-e-fikr meñ utre koī nayā sūraj
tire ḳhayāl se fursat hameñ agar mil jaa.e
kase jo fan kī kasauTī pe mujh ko ai 'sālim'
kahīñ to aisā koī sāhib-e-nazar mil jaa.e
ye justuju hai ki dariya-e-mo'atabar mil jae
wagarna pyas ko sahra-e-KHushk tar mil jae
kabhi na KHatm ho aisa koi safar mil jae
jo na-shanas-e-safar ho wo rah-guzar mil jae
junun-e-shauq ne chhani hai KHak dar dar ki
ye soch kar ki kahin KHizr dar-ba-dar mil jae
shikast-e-tira-shabi ka koi suragh mile
main shab kuredun to shayad koi sahar mil jae
jabin-e-naz ka har zaKHm phir chaTaKHne laga
ai na-muradi-e-dil ab to sang-e-dar mil jae
hawas-guzar hai bezari-e-sukun-e-dil
koi to zarb lage koi to zarar mil jae
dayar-e-fikr mein utre koi naya suraj
tere KHayal se fursat hamein agar mil jae
kase jo fan ki kasauTi pe mujh ko ai 'salim'
kahin to aisa koi sahib-e-nazar mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.