ye kaam jigar ka hai digar kaun karega
ye kaam jigar kā hai digar kaun karegā
ai teġh tujhe ḳhuun se tar kaun karegā
tujh se baḌī ummīd thī ai tarz-e-taġhāful
is dil pe tavajjoh kī nazar kaun karegā
is samt to jalvoñ ke paḌe rahte haiñ parde
ai dil nigah-e-shauq idhar kaun karegā
ab paañv meñ chhāle haiñ na hī raah meñ kāñTe
aise meñ bhalā 'azm-e-safar kaun karegā
ye kaisī havā hai ki bujhā jaatā hai tū bhī
ab raushnī-e-dāġh-e-jigar kaun karegā
ai chāragaro aur koī pal to Thahar jaao
un ko mire marne kī ḳhabar kaun karegā
zulmat ne asīroñ kā galā ghoñT diyā hai
ab haa.e sahar haa.e sahar kaun karegā
'kausar' nigah-e-shauq kī taskīn kī ḳhātir
us mehr-e-munavvar pe nazar kaun karegā
ye kaam jigar ka hai digar kaun karega
ai tegh tujhe KHun se tar kaun karega
tujh se baDi ummid thi ai tarz-e-taghaful
is dil pe tawajjoh ki nazar kaun karega
is samt to jalwon ke paDe rahte hain parde
ai dil nigah-e-shauq idhar kaun karega
ab panw mein chhaale hain na hi rah mein kanTe
aise mein bhala 'azm-e-safar kaun karega
ye kaisi hawa hai ki bujha jata hai tu bhi
ab raushni-e-dagh-e-jigar kaun karega
ai chaaragaro aur koi pal to Thahar jao
un ko mere marne ki KHabar kaun karega
zulmat ne asiron ka gala ghonT diya hai
ab hae sahar hae sahar kaun karega
'kausar' nigah-e-shauq ki taskin ki KHatir
us mehr-e-munawwar pe nazar kaun karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.