ye kar-gah-e-KHair bhi hai bazm-e-shar bhi hai
ye kar-gah-e-KHair bhi hai bazm-e-shar bhi hai
Nihal Rizvi Lucknowi
MORE BYNihal Rizvi Lucknowi
ye kār-gāh-e-ḳhair bhī hai bazm-e-shar bhī hai
duniyā qayām-gāh bhī hai rahguzar bhī hai
kyā jaane kis kī fat.h ho kis kī shikast ho
ka.aba bhī hai nazar meñ tirā sang-e-dar bhī hai
ye aur baat hai ki tasarruf na kar sakūñ
qabze meñ mere shaam bhī hai aur sahar bhī hai
matlab ye hai jafā kā vafāoñ ke saath saath
merā ḳhayāl bhī hai zamāne kā Dar bhī hai
itne baḌe jahāñ meñ ġharīboñ ke vāste
yā-rab sukūn-e-dil kā koī mustaqar bhī hai
kis tarah sarguzisht-e-mohabbat bayāñ karūñ
ye dāstāñ tavīl bhī hai muḳhtasar bhī hai
uTh aur apne farz ko pahchān be-ḳhabar
duniyā badal ga.ī hai tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
donoñ ko gum kiyā hai ḳhyāl-o-shabāb ne
vo kaif-e-be-ḳhudī jo idhar hai udhar bhī hai
kal the jahāñ pe aaj bhī tum ho vahīñ 'nihāl'
duniyā pahuñch ga.ī hai kahāñ kuchh ḳhabar bhī hai
ye kar-gah-e-KHair bhi hai bazm-e-shar bhi hai
duniya qayam-gah bhi hai rahguzar bhi hai
kya jaane kis ki fath ho kis ki shikast ho
kaba bhi hai nazar mein tera sang-e-dar bhi hai
ye aur baat hai ki tasarruf na kar sakun
qabze mein mere sham bhi hai aur sahar bhi hai
matlab ye hai jafa ka wafaon ke sath sath
mera KHayal bhi hai zamane ka Dar bhi hai
itne baDe jahan mein gharibon ke waste
ya-rab sukun-e-dil ka koi mustaqar bhi hai
kis tarah sarguzisht-e-mohabbat bayan karun
ye dastan tawil bhi hai muKHtasar bhi hai
uTh aur apne farz ko pahchan be-KHabar
duniya badal gai hai tujhe kuchh KHabar bhi hai
donon ko gum kiya hai KHyal-o-shabab ne
wo kaif-e-be-KHudi jo idhar hai udhar bhi hai
kal the jahan pe aaj bhi tum ho wahin 'nihaal'
duniya pahunch gai hai kahan kuchh KHabar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.