ye karobar-e-faraghat tamam karne ko
ye kārobār-e-farāġhat tamām karne ko
maiñ sub.h ghar se nikaltā huuñ shaam karne ko
maiñ us kī aañkh meñ vāpas vo ḳhvāb chhoḌ aaya
jo us ne bhejā thā nīñdeñ harām karne ko
ye aur baat ki mujh ko na tū samajh paayā
taḌap rahā hai zamāna imaam karne ko
jahāñ meñ koī mayassar nahīñ to kyā ġham hai
sukūt-e-lāla-o-gul hai kalām karne ko
kalī ko phuul banā kar guzar ga.ī hai bahār
Thahar gayā hai ye nam ehtirām karne ko
abhī to shāḳh ke andar nihāñ hai añgḌā.ī
machal uThā hai ye gulshan salām karne ko
ġhazāl bhuul ga.e apnī chaukḌī 'tāhir'
ye kaun dasht meñ utrā ḳhirām karne ko
ye karobar-e-faraghat tamam karne ko
main subh ghar se nikalta hun sham karne ko
main us ki aankh mein wapas wo KHwab chhoD aaya
jo us ne bheja tha ninden haram karne ko
ye aur baat ki mujh ko na tu samajh paya
taDap raha hai zamana imam karne ko
jahan mein koi mayassar nahin to kya gham hai
sukut-e-lala-o-gul hai kalam karne ko
kali ko phul bana kar guzar gai hai bahaar
Thahar gaya hai ye nam ehtiram karne ko
abhi to shaKH ke andar nihan hai angDai
machal uTha hai ye gulshan salam karne ko
ghazal bhul gae apni chaukDi 'tahir'
ye kaun dasht mein utra KHiram karne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.