Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kab kaha hai humne sajda nahin karenge

Chandra Shekhar Varma

ye kab kaha hai humne sajda nahin karenge

Chandra Shekhar Varma

MORE BYChandra Shekhar Varma

    ye kab kahā hai ham ne sajda nahīñ kareñge

    tum jis chāhte ho us nahīñ kareñge

    tum chāhte agar ho ham zid nahīñ kareñ to

    tum bhī karo ye vā'da naḳhrā nahīñ kareñge

    ik dostī meñ ham ne dil aur jaañ luTā

    socho ki ishq meñ ham kyā kyā nahīñ kareñge

    tum maano na maano sab se nayā hai dhokā

    un ye tum se kahnā dhokā nahīñ kareñge

    paisa dikhā ke us ne bolā karo ġhulāmī

    ġhairat dikhā ke ham ne bolā nahīñ kareñge

    lab ko milā ke lab se karnī haiñ dil bāteñ

    nārāz ho ga.iiñ kyā achchhā nahīñ kareñge

    dil chāhtā hai tum par kar leñ yaqīn lekin

    vo jitnā chāhtā hai utnā nahīñ kareñge

    mushkil bahut hai 'shekhar' phir se na dil lagā.eñ

    koshish bhale kar leñ vā'da nahīñ kareñge

    ye kab kaha hai hum ne sajda nahin karenge

    tum jis ka chahte ho us ka nahin karenge

    tum chahte agar ho hum zid nahin karen to

    tum bhi karo ye wa'da naKHra nahin karenge

    ek dosti mein hum ne dil aur jaan luTa di

    socho ki ishq mein hum kya kya nahin karenge

    tum mano ya na mano sab se naya hai dhoka

    un ka ye tum se kahna dhoka nahin karenge

    paisa dikha ke us ne bola karo ghulami

    ghairat dikha ke hum ne bola nahin karenge

    lab ko mila ke lab se karni hain dil ki baaten

    naraaz ho gain kya achchha nahin karenge

    dil chahta hai tum par kar len yaqin lekin

    wo jitna chahta hai utna nahin karenge

    mushkil bahut hai 'shekhar' phir se na dil lagaen

    koshish bhale hi kar len wa'da nahin karenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now