ye kab se daftar-e-ushshaq mein hai nam mera
ye kab se daftar-e-ushshaq mein hai nam mera
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
ye kab se daftar-e-ushshāq meñ hai naam mirā
likhā thā kilk-e-azal ne tujhe salām mirā
zabāñ pe rashk se kab aa sakegā naam mirā
kaheñge hazrat-e-mūsā bhalā salām mirā
yahāñ hai nīm-nigah kā bhī shukriya lab par
namak-harām nahīñ zaḳhm-e-nā-tamām mirā
ḳhayāl-e-rū-e-munavvar hai matl.a-e-ḳhurshīd
falak se kartā hai bāteñ charāġh-e-shām mirā
itaab bā.is-e-nākāmī-e-tamanna thā
nigāh-e-lutf magar kar rahī hai kaam mirā
ilāhī ho mirī hastī kā ishq se āġhāz
qudūm-e-ḳhatm-e-rusul par ho iḳhtitām mirā
ḳhudā ke vāste uTTho kahāñ talak ġhaflat
masīh karte haiñ kuchh aur ehtimām mirā
mai-e-alast se labrez sāġhar-e-dil hai
ghaTe baḌhe na surūr-e-'aladdavām mirā
falak samajhtā hai kuchh khel nāla-e-dil kā
lage na aag to 'sho.ala' nahīñ hai naam mirā
ye kab se daftar-e-ushshaq mein hai nam mera
likha tha kilk-e-azal ne tujhe salam mera
zaban pe rashk se kab aa sakega nam mera
kahenge hazrat-e-musa bhala salam mera
yahan hai nim-nigah ka bhi shukriya lab par
namak-haram nahin zaKHm-e-na-tamam mera
KHayal-e-ru-e-munawwar hai matla-e-KHurshid
falak se karta hai baaten charagh-e-sham mera
itab bais-e-nakaami-e-tamanna tha
nigah-e-lutf magar kar rahi hai kaam mera
ilahi ho meri hasti ka ishq se aaghaz
qudum-e-KHatm-e-rusul par ho iKHtitam mera
KHuda ke waste uTTho kahan talak ghaflat
masih karte hain kuchh aur ehtimam mera
mai-e-alast se labrez saghar-e-dil hai
ghaTe baDhe na surur-e-'aladdawam mera
falak samajhta hai kuchh khel nala-e-dil ka
lage na aag to 'shoala' nahin hai nam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.