ye kah do to duniya wale nile pile hote hain
ye kah do to duniyā vaale niile piile hote haiñ
is duniyā ke sāñp-sañpole sab zahrīle hote haiñ
ai mere mahbūb batā ye husn kī rangat kitne din
patjhaḌ meñ girne se pahle patte piile hote haiñ
ḳhud hī rakh dete haiñ bande sar jin kī talvāroñ par
jaane ye kyā baat hai un ke nain haTīle hote haiñ
tishna yā sairāb ho rindo maiḳhāne kī ḳhair manāo
ashkoñ se yā mai se apne hoñT to giile hote haiñ
naaz kā un ke jo aalam hai kaun sune aur kaun kahe
ik pal darshan dene ko bhī lākhoñ hiile hote haiñ
dil le kar jo ġham dete haiñ ulfat ke dīvānoñ ko
pahle pahle ye zālim kitne sharmīle hote haiñ
miit unhīñ ke hote haiñ sab jiit unhīñ kī hotī hai
is duniyā meñ jin logoñ ke paas vasīle hote haiñ
nafrat kī ḳhū ho yā jin se naḳhvat kī sī bū aa.e
kaḌvī hotī haiñ bāteñ vo bol kasīle hote haiñ
'manzil' kis ke pyaar kī sardī garmī mujh par guzrī hai
rāteñ aag lagātī haiñ aur din barfīle hote haiñ
ye kah do to duniya wale nile pile hote hain
is duniya ke sanp-sanpole sab zahrile hote hain
ai mere mahbub bata ye husn ki rangat kitne din
patjhaD mein girne se pahle patte pile hote hain
KHud hi rakh dete hain bande sar jin ki talwaron par
jaane ye kya baat hai un ke nain haTile hote hain
tishna ya sairab ho rindo maiKHane ki KHair manao
ashkon se ya mai se apne honT to gile hote hain
naz ka un ke jo aalam hai kaun sune aur kaun kahe
ek pal darshan dene ko bhi lakhon hile hote hain
dil le kar jo gham dete hain ulfat ke diwanon ko
pahle pahle ye zalim kitne sharmile hote hain
mit unhin ke hote hain sab jit unhin ki hoti hai
is duniya mein jin logon ke pas wasile hote hain
nafrat ki KHu ho ya jin se naKHwat ki si bu aae
kaDwi hoti hain baaten wo bol kasile hote hain
'manzil' kis ke pyar ki sardi garmi mujh par guzri hai
raaten aag lagati hain aur din barfile hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.