ye kaha usne mere shauq ke afsane par
ye kahā us ne mire shauq ke afsāne par
be-adab sham.a kahīñ girtī hai parvāne par
aan dilvāte ho rakh rakh ke jo parvāne par
choT aa.e na kahīñ zabt ke paimāne par
un se kah de koī vo aa ke tamāshā dekheñ
phuul barsāte haiñ log aap ke dīvāne par
muḌ ke rahmat kī taraf kī jo nazar mastoñ ne
aa gayā abr-e-siyah jhuum ke mai-ḳhāne par
yaad TuuTā huā dil aa gayā pahroñ ro.e
paḌ ga.ī aañkh jo TuuTe hue paimāne par
khiñch ga.ī sub.h-e-qayāmat kī mujassam tasvīr
aa gayā Dhal ke dupaTTā jo kabhī shāne par
yaad aaya koī nākām-e-tamannā 'muztar'
ro diye aaj vo kyoñ qais ke afsāne par
ye kaha us ne mere shauq ke afsane par
be-adab shama kahin girti hai parwane par
aan dilwate ho rakh rakh ke jo parwane par
choT aae na kahin zabt ke paimane par
un se kah de koi wo aa ke tamasha dekhen
phul barsate hain log aap ke diwane par
muD ke rahmat ki taraf ki jo nazar maston ne
aa gaya abr-e-siyah jhum ke mai-KHane par
yaad TuTa hua dil aa gaya pahron roe
paD gai aankh jo TuTe hue paimane par
khinch gai subh-e-qayamat ki mujassam taswir
aa gaya Dhal ke dupaTTa jo kabhi shane par
yaad aaya koi nakaam-e-tamanna 'muztar'
ro diye aaj wo kyon qais ke afsane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.