ye kahan ajnabi suraton ki bhiD ke darmiyan aa gaya hun
ye kahan ajnabi suraton ki bhiD ke darmiyan aa gaya hun
Vipin Suneja Shayeq
MORE BYVipin Suneja Shayeq
ye kahāñ ajnabī sūratoñ kī bhiiḌ ke darmiyāñ aa gayā huuñ
is nagar meñ sabhī be-zabāñ haiñ kis se pūchhūñ kahāñ aa gayā huuñ
zindagī kā hī ronā vahāñ thā zindagī kā hī mātam yahāñ hai
kis liye maiñ chalā thā vahāñ se kis liye maiñ yahāñ aa gayā huuñ
zindagī ek andhā safar hai jis kī koī bhī manzil nahīñ hai
ārzūoñ ke dhoke meñ aa kar maiñ kahāñ se kahāñ aa gayā huuñ
DhūñDhne to tujhe hī chalā thā jaane kis dhun meñ chaltā rahā maiñ
raah meñ thā magar paar kar ke maiñ tirā āstāñ aa gayā huuñ
jab talak ḳhud rahā maiñ vahāñ to ek tinkā na hilne diyā par
aaj maiñ haath meñ āñdhiy.oñ ke sauñp kar āshiyāñ aa gayā huuñ
bol hai kaun sā vo jahannum bol terī vo jannat kahāñ hai
faisla kar mirā chhoḌ kar maiñ aaj saarā jahāñ aa gayā huuñ
ye kahan ajnabi suraton ki bhiD ke darmiyan aa gaya hun
is nagar mein sabhi be-zaban hain kis se puchhun kahan aa gaya hun
zindagi ka hi rona wahan tha zindagi ka hi matam yahan hai
kis liye main chala tha wahan se kis liye main yahan aa gaya hun
zindagi ek andha safar hai jis ki koi bhi manzil nahin hai
aarzuon ke dhoke mein aa kar main kahan se kahan aa gaya hun
DhunDhne to tujhe hi chala tha jaane kis dhun mein chalta raha main
rah mein tha magar par kar ke main tera aastan aa gaya hun
jab talak KHud raha main wahan to ek tinka na hilne diya par
aaj main hath mein aandhiyon ke saunp kar aashiyan aa gaya hun
bol hai kaun sa wo jahannum bol teri wo jannat kahan hai
faisla kar mera chhoD kar main aaj sara jahan aa gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.