ye kahan ki ulfat hai dur-dur rahte ho
ye kahāñ kī ulfat hai dūr-dūr rahte ho
mere to na ban paa.e mujh ko apnā kahte ho
mil ke baañT leñge ham ranj aur ḳhushī apnī
dard phir jo hotā hai kyoñ akelā sahte ho
merā kuchh kahā tere dil ko lag gayā shāyad
baat bhī nahīñ karte kho.e kho.e rahte ho
mujh se jo shikāyat hai mujh se hī kaho mil ke
ġhair se hī milte ho ġhair se hī kahte ho
Thes jab bhī lagtī hai merā dil dhaḌaktā hai
tum judā na ho jaao chashm-e-tar meñ rahte ho
kis tarah milūñ tum se ek jā nahīñ rukte
āñdhiyoñ se chalte ho misl-e-dariyā bahte ho
us ne ye kahā 'sāgar' sun ke merī ġhazloñ ko
kar diyā hai dil-dāda sher aise kahte ho
ye kahan ki ulfat hai dur-dur rahte ho
mere to na ban pae mujh ko apna kahte ho
mil ke banT lenge hum ranj aur KHushi apni
dard phir jo hota hai kyon akela sahte ho
mera kuchh kaha tere dil ko lag gaya shayad
baat bhi nahin karte khoe khoe rahte ho
mujh se jo shikayat hai mujh se hi kaho mil ke
ghair se hi milte ho ghair se hi kahte ho
Thes jab bhi lagti hai mera dil dhaDakta hai
tum juda na ho jao chashm-e-tar mein rahte ho
kis tarah milun tum se ek ja nahin rukte
aandhiyon se chalte ho misl-e-dariya bahte ho
us ne ye kaha 'sagar' sun ke meri ghazlon ko
kar diya hai dil-dada sher aise kahte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.