ye kahan se hum gae hain kahan kahen kya teri tag-o-taz mein
ye kahan se hum gae hain kahan kahen kya teri tag-o-taz mein
Riyaz Khairabadi
MORE BYRiyaz Khairabadi
ye kahāñ se ham ga.e haiñ kahāñ kaheñ kyā tirī tag-o-tāz meñ
ki ye āsmān-o-zamīñ jahāñ na nasheb meñ na farāz meñ
tū darūn-e-ḳhāna barūn-e-dar tū hazār pardoñ meñ jalva-gar
are o haqīqat-e-parda-var tirī shoḳhiyāñ meñ majāz meñ
vahī aa.e arsh se farsh tak vahī chhā.e farsh se arsh tak
mile aise zarre hazār-hā hameñ ḳhāk-e-rāh-e-majāz meñ
kahīñ tez hai kahīñ narm hai yahī aañch mutrib-e-ḳhush-navā
mire naale meñ tire naġhme meñ mire soz meñ tire saaz meñ
tire sajde meñ vo mazā milā ki taḌap ke siine se aa rahā
koī daaġh hai ki hai dil mirā ye mirī jabīn-e-niyāz meñ
ye uḌā.eñge kabhī rañg bhī ye dikhā.eñge kabhī rañg bhī
yahī lā.eñge kabhī rañg bhī jo rañgeñ haiñ rañg-e-majāz meñ
ghaḌī jis kī hashr kā ek din shab-gor jis kā har ek pal
vo maze haiñ hasrat-e-marg meñ jo ḳhizr kī umr-e-darāz meñ
use laag ishq kī kahte haiñ use aag ishq kī kahte haiñ
na junūn hai ye junūn meñ na koī ye raaz hai raaz meñ
jinheñ log kahte haiñ duzd-e-mai vo ḳhudā-parast 'riyāz' haiñ
ye sunā hai kal ki janāb hī pas-e-ḳhum the mahv namāz meñ
ye kahan se hum gae hain kahan kahen kya teri tag-o-taz mein
ki ye aasman-o-zamin jahan na nasheb mein na faraaz mein
tu darun-e-KHana barun-e-dar tu hazar pardon mein jalwa-gar
are o haqiqat-e-parda-war teri shoKHiyan mein majaz mein
wahi aae arsh se farsh tak wahi chhae farsh se arsh tak
mile aise zarre hazar-ha hamein KHak-e-rah-e-majaz mein
kahin tez hai kahin narm hai yahi aanch mutrib-e-KHush-nawa
mere nale mein tere naghme mein mere soz mein tere saz mein
tere sajde mein wo maza mila ki taDap ke sine se aa raha
koi dagh hai ki hai dil mera ye meri jabin-e-niyaz mein
ye uDaenge kabhi rang bhi ye dikhaenge kabhi rang bhi
yahi laenge kabhi rang bhi jo rangen hain rang-e-majaz mein
ghaDi jis ki hashr ka ek din shab-gor jis ka har ek pal
wo maze hain hasrat-e-marg mein jo KHizr ki umr-e-daraaz mein
use lag ishq ki kahte hain use aag ishq ki kahte hain
na junun hai ye junun mein na koi ye raaz hai raaz mein
jinhen log kahte hain duzd-e-mai wo KHuda-parast 'riyaz' hain
ye suna hai kal ki janab hi pas-e-KHum the mahw namaz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.