ye kaif-e-husn us pe ye masti shabab ki
ye kaif-e-husn us pe ye mastī shabāb kī
ye aap haiñ ki mauj hai koī sharāb kī
suunī hai bazm-e-ālam-e-imkāñ tire baġhair
zulmat hai raushnī bhī shab-e-māhtāb kī
kyoñ merī laġhzishoñ pa zamāna hai ta.ana-zan
sab laġhzisheñ muaaf haiñ ahd-e-shabāb kī
zauq-e-salīm chāhiye shā.ir ke vāste
hājat hai mai-kashī kī na fan par kitāb kī
vo sard sard aaheñ vo aḳhtar-shumāriyāñ
dilchaspiyāñ thiiñ ye mire ahd-e-shabāb kī
jazbāt-e-husn-o-ishq se labrez ye ġhazal
tasvīr hai kisī dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī
kaif-āfrīñ hai merā ġham-e-ishq ai 'bahār'
lazzat na mujh se pūchh tū aise azaab kī
ye kaif-e-husn us pe ye masti shabab ki
ye aap hain ki mauj hai koi sharab ki
suni hai bazm-e-alam-e-imkan tere baghair
zulmat hai raushni bhi shab-e-mahtab ki
kyon meri laghzishon pa zamana hai tana-zan
sab laghzishen muaf hain ahd-e-shabab ki
zauq-e-salim chahiye shair ke waste
hajat hai mai-kashi ki na fan par kitab ki
wo sard sard aahen wo aKHtar-shumariyan
dilchaspiyan thin ye mere ahd-e-shabab ki
jazbaat-e-husn-o-ishq se labrez ye ghazal
taswir hai kisi dil-e-KHana-KHarab ki
kaif-afrin hai mera gham-e-ishq ai 'bahaar'
lazzat na mujh se puchh tu aise azab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.