ye kaisa ghar hai ki jis mein koi kitab nahin
ye kaisā ghar hai ki jis meñ koī kitāb nahīñ
siyāh raat hai jis meñ ki māhtāb nahīñ
qusūr terā hai us ko na dekh paa.e agar
ḳhudā kī zaat pe varna koī hijāb nahīñ
vo ḳhaak meñ na milā de kahīñ ḳhafā ho kar
mirī vo ulfateñ jin kā koī hisāb nahīñ
burā maiñ kaise manā.ūñgā us kī nafrat kā
hisāb meñ vo abhī sāhab-e-nisāb nahīñ
haañ ek-tarfa mohabbat nahīñ gunāh magar
ziyāñ ye vaqt kā hai is meñ kuchh savāb nahīñ
maiñ ḳhud se haarā huā ek aisā shā.ir huuñ
ki jis kī āñkhoñ meñ shohrat kā koī ḳhvāb nahīñ
koī bhī rāsta chun lo mileñge kāñTe hī
nasīb meñ jo hamāre koī gulāb nahīñ
nahīñ hai aas bhī bujhne kī pyaas ab 'sāqib'
huuñ aise dasht meñ jis meñ koī sarāb nahīñ
ye kaisa ghar hai ki jis mein koi kitab nahin
siyah raat hai jis mein ki mahtab nahin
qusur tera hai us ko na dekh pae agar
KHuda ki zat pe warna koi hijab nahin
wo KHak mein na mila de kahin KHafa ho kar
meri wo ulfaten jin ka koi hisab nahin
bura main kaise manaunga us ki nafrat ka
hisab mein wo abhi sahab-e-nisab nahin
han ek-tarfa mohabbat nahin gunah magar
ziyan ye waqt ka hai is mein kuchh sawab nahin
main KHud se haara hua ek aisa shair hun
ki jis ki aankhon mein shohrat ka koi KHwab nahin
koi bhi rasta chun lo milenge kanTe hi
nasib mein jo hamare koi gulab nahin
nahin hai aas bhi bujhne ki pyas ab 'saqib'
hun aise dasht mein jis mein koi sarab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.