ye kaisa hu ka aalam hai sunai kuchh nahin deta
ye kaisā hū kā aalam hai sunā.ī kuchh nahīñ detā
jahāñ maiñ huuñ vahāñ se kyoñ dikhā.ī kuchh nahīñ detā
tirī parchhā.īñ kā partav mirī āñkhoñ meñ rahne de
ziyāda raushnī meñ bhī sujhā.ī kuchh nahīñ detā
vo jab tak duur thā qadmoñ kī aahaT sun rahā thā maiñ
qarīb aate hī jaane kyoñ sunā.ī kuchh nahīñ detā
parindoñ ko tulū-e-sub.h se nisbat to hai lekin
fazā kohre meñ Duubī hai dikhā.ī kuchh nahīñ detā
ye kaisa hu ka aalam hai sunai kuchh nahin deta
jahan main hun wahan se kyon dikhai kuchh nahin deta
teri parchhain ka partaw meri aankhon mein rahne de
ziyaada raushni mein bhi sujhai kuchh nahin deta
wo jab tak dur tha qadmon ki aahaT sun raha tha main
qarib aate hi jaane kyon sunai kuchh nahin deta
parindon ko tulu-e-subh se nisbat to hai lekin
faza kohre mein Dubi hai dikhai kuchh nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.