ye kaisa kaam ai dast-e-masih kar Dala
ye kaisā kaam ai dast-e-masīh kar Daalā
jo dil kā zaḳhm thā vo hī sahīh kar Daalā
shab-e-siyāh kā chehra udaas dekhā to
nikal ke chāñd ne us ko malīh kar Daalā
zarā sā jhāñk ke tārīkiyoñ se sūraj ne
malīh chehra-e-shab ko sabīh kar Daalā
maiñ kaise aql kā paikar samajh luuñ insāñ ko
ḳhud apnī ziist ko jis ne qabīh kar Daalā
kal us ne chheḌ ke mahfil meñ tazkira merā
har ek aib-o-hunar ko sarīh kar Daalā
tumhārī dāstāñ uljhī huī thī vahmoñ meñ
duā.eñ do hameñ ham ne fasīh kar Daalā
ye kaisa kaam ai dast-e-masih kar Dala
jo dil ka zaKHm tha wo hi sahih kar Dala
shab-e-siyah ka chehra udas dekha to
nikal ke chand ne us ko malih kar Dala
zara sa jhank ke tarikiyon se suraj ne
malih chehra-e-shab ko sabih kar Dala
main kaise aql ka paikar samajh lun insan ko
KHud apni zist ko jis ne qabih kar Dala
kal us ne chheD ke mahfil mein tazkira mera
har ek aib-o-hunar ko sarih kar Dala
tumhaari dastan uljhi hui thi wahmon mein
duaen do hamein hum ne fasih kar Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.