ye kaisa shahr hai ilzam se nahin jata
ye kaisā shahr hai ilzām se nahīñ jaatā
maiñ us galī meñ kisī kaam se nahīñ jaatā
suno ye ishq hai so jaan le ke chhoḌegā
ye vo maraz hai jo ārām se nahīñ jaatā
usī kī yaad savere ujāltī hai mire
usī kā zikr mirī shaam se nahīñ jaatā
ajab hai pyaas kisī vasl se nahīñ bujhtī
ajab junūñ hai kisī naam se nahīñ jaatā
jo ibtidā se na jaa.e diloñ se Dar 'āsim'
ye soch lo ki vo anjām se nahīñ jaatā
ye kaisa shahr hai ilzam se nahin jata
main us gali mein kisi kaam se nahin jata
suno ye ishq hai so jaan le ke chhoDega
ye wo maraz hai jo aaram se nahin jata
usi ki yaad sawere ujalti hai mere
usi ka zikr meri sham se nahin jata
ajab hai pyas kisi wasl se nahin bujhti
ajab junun hai kisi nam se nahin jata
jo ibtida se na jae dilon se Dar 'asim'
ye soch lo ki wo anjam se nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.