ye kaisa taghaful hai bata kyon nahin dete
ye kaisā taġhāful hai batā kyoñ nahīñ dete
hoñToñ pe lagā qufl haTā kyoñ nahīñ dete
jo mujh se adāvat hai sazā kyoñ nahīñ dete
ik zarb mire dil pe lagā kyoñ nahīñ dete
dushman huuñ to nazroñ se girā kyoñ nahīñ dete
mujrim ko salīqe se sazā kyoñ nahīñ dete
kis vāste rakhte ho ise dil se lagā.e
chup-chāp merā ḳhat ye jalā kyoñ nahīñ dete
maanā ki yahāñ jurm hai iz.hār-e-mohabbat
ḳhāmosh nigāhoñ se sadā kyoñ nahīñ dete
is dard-e-musalsal se bachā lo mujhe lillāh
jab zaḳhm diyā hai to davā kyoñ nahīñ dete
nafrat tumheñ itnī hī ujāloñ se agar hai
sūraj ko bhī phūñkoñ se bujhā kyoñ nahīñ dete
sho.aloñ kī lapaT aa ga.ī kyā aap ke ghar tak
ab kyā huā sho.aloñ ko havā kyoñ nahīñ dete
ab itnī ḳhamoshī bhī 'suhaib' achchhī nahīñ hai
ahbāb ko ā.īna dikhā kyoñ nahīñ dete
ye kaisa taghaful hai bata kyon nahin dete
honTon pe laga qufl haTa kyon nahin dete
jo mujh se adawat hai saza kyon nahin dete
ek zarb mere dil pe laga kyon nahin dete
dushman hun to nazron se gira kyon nahin dete
mujrim ko saliqe se saza kyon nahin dete
kis waste rakhte ho ise dil se lagae
chup-chap mera KHat ye jala kyon nahin dete
mana ki yahan jurm hai izhaar-e-mohabbat
KHamosh nigahon se sada kyon nahin dete
is dard-e-musalsal se bacha lo mujhe lillah
jab zaKHm diya hai to dawa kyon nahin dete
nafrat tumhein itni hi ujalon se agar hai
suraj ko bhi phunkon se bujha kyon nahin dete
shoalon ki lapaT aa gai kya aap ke ghar tak
ab kya hua shoalon ko hawa kyon nahin dete
ab itni KHamoshi bhi 'suhaib' achchhi nahin hai
ahbab ko aaina dikha kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.