ye kaise hoga ki chup rahenge
ye kaise hogā ki chup raheñge
jo jī meñ aayā vahī kaheñge
abhī añdherā jo chhā gayā hai
charāġh yādoñ ke jal uTheñge
abhī to jī leñ jo zindagī hai
jo maut aa.ī to mar bhī leñge
ham apne shānoñ pe ghar liye haiñ
jahāñ pe jī ho vahāñ rukeñge
safar meñ tanhā hī chal rahe haiñ
ye sach hai lekin nahīñ kaheñge
ye mahfileñ to sajeñgī yuuñ bhī
ham apne hujre meñ baiTh leñge
kaThin hai 'kundan' ko toḌ denā
vo hans bhī leñge vo ġham saheñge
ye kaise hoga ki chup rahenge
jo ji mein aaya wahi kahenge
abhi andhera jo chha gaya hai
charagh yaadon ke jal uThenge
abhi to ji len jo zindagi hai
jo maut aai to mar bhi lenge
hum apne shanon pe ghar liye hain
jahan pe ji ho wahan rukenge
safar mein tanha hi chal rahe hain
ye sach hai lekin nahin kahenge
ye mahfilen to sajengi yun bhi
hum apne hujre mein baiTh lenge
kaThin hai 'kundan' ko toD dena
wo hans bhi lenge wo gham sahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.