ye kaise log hain jo maut par israr karte hain
ye kaise log haiñ jo maut par isrār karte haiñ
jahāñ likkhā hai āhista vahīñ raftār karte haiñ
ḳhalal apne dimāġhoñ kā kareñ ta.abīr jiddat se
ye biivī ke liye māñ-bāp ko āzār karte haiñ
kahāñ ḳhātir meñ laate haiñ ye tājir narḳh-nāme ko
to ham in be-hisoñ se kaahe kī takrār karte haiñ
jo tum ne raaz ulfat kā kiyā ifshā sar-e-mahfil
to ham bhī e'tirāf us kā sar-e-bāzār karte haiñ
bhalā aisoñ kī bātoñ meñ kahīñ tāsīr hotī hai
amal karte nahīñ taqrīr dhūeñ-dār karte haiñ
hameñ to baat karne kā salīqa tak nahīñ aatā
kahāñ ham ko kamāl aisā jo ḳhush-guftār karte haiñ
chalo taslīm karte haiñ ki ab tak yaad haiñ un ko
ravayye se magar kuchh aur vo iz.hār karte haiñ
ye aage se jo sāhab aa rahe haiñ in se bach niklo
ye aisā jhāḌte haiñ falsafa bezār karte haiñ
kabhī dushman huā karte the chhup kar vaar karne ko
magar 'hasrat' abhī ye kaam rishte-dār karte haiñ
ye kaise log hain jo maut par israr karte hain
jahan likkha hai aahista wahin raftar karte hain
KHalal apne dimaghon ka karen tabir jiddat se
ye biwi ke liye man-bap ko aazar karte hain
kahan KHatir mein late hain ye tajir narKH-name ko
to hum in be-hison se kahe ki takrar karte hain
jo tum ne raaz ulfat ka kiya ifsha sar-e-mahfil
to hum bhi e'tiraf us ka sar-e-bazar karte hain
bhala aison ki baaton mein kahin tasir hoti hai
amal karte nahin taqrir dhuen-dar karte hain
hamein to baat karne ka saliqa tak nahin aata
kahan hum ko kamal aisa jo KHush-guftar karte hain
chalo taslim karte hain ki ab tak yaad hain un ko
rawayye se magar kuchh aur wo izhaar karte hain
ye aage se jo sahab aa rahe hain in se bach niklo
ye aisa jhaDte hain falsafa bezar karte hain
kabhi dushman hua karte the chhup kar war karne ko
magar 'hasrat' abhi ye kaam rishte-dar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.