ye kaise log hain jo rah mein na-chaar baiThe hain
ye kaise log haiñ jo raah meñ nā-chār baiThe haiñ
baḌe nādāñ musāfir haiñ ki himmat haar baiThe haiñ
agar pahlū se vo uTThe to dil apnā na kyoñ baiThe
ġharaz marne ko har sūrat se ham tayyār baiThe haiñ
zamāne ne na dī fursat jo ham ḳhidmat bajā laate
kisī ne kab hameñ dekhā ki ham be-kār baiThe haiñ
kise fursat ḳhabar le dard-mandoñ kī shab-e-ġham meñ
hazāroñ baar uTThe haiñ hazāroñ baar baiThe haiñ
kabhī uTThe to garm-e-justujū-e-dost meñ uTThe
kabhī baiThe to mahv-e-ārzū-e-yār baiThe haiñ
junūn-e-ishq meñ sahrā-navardī chāk-dāmānī
yahī sab kar ke goyā thak ga.e be-kār baiThe haiñ
na rāhoñ se shanāsā.ī na rahbar se ta.āruf hai
hazāroñ justujueñ kar ke himmat haar baiThe haiñ
ajab ye rang-e-mahfil hai kaheñ to kyā kaheñ hamdam
bahar-sūrat ham us kī bazm meñ bezār baiThe haiñ
kabhī 'dīvān' se dekhā nahīñ ḳhālī ho mai-ḳhāna
jahāñ bhī dekhiye jā kar vahīñ sarkār baiThe haiñ
ye kaise log hain jo rah mein na-chaar baiThe hain
baDe nadan musafir hain ki himmat haar baiThe hain
agar pahlu se wo uTThe to dil apna na kyon baiThe
gharaz marne ko har surat se hum tayyar baiThe hain
zamane ne na di fursat jo hum KHidmat baja late
kisi ne kab hamein dekha ki hum be-kar baiThe hain
kise fursat KHabar le dard-mandon ki shab-e-gham mein
hazaron bar uTThe hain hazaron bar baiThe hain
kabhi uTThe to garm-e-justuju-e-dost mein uTThe
kabhi baiThe to mahw-e-arzu-e-yar baiThe hain
junun-e-ishq mein sahra-nawardi chaak-damani
yahi sab kar ke goya thak gae be-kar baiThe hain
na rahon se shanasai na rahbar se taaruf hai
hazaron justujuen kar ke himmat haar baiThe hain
ajab ye rang-e-mahfil hai kahen to kya kahen hamdam
bahar-surat hum us ki bazm mein bezar baiThe hain
kabhi 'diwan' se dekha nahin KHali ho mai-KHana
jahan bhi dekhiye ja kar wahin sarkar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.