ye kaise zulm-o-sitam aur aziyyaten kaisi
ye kaise zulm-o-sitam aur aziyyateñ kaisī
paḌī haiñ mere hī pīchhe musībateñ kaisī
huuñ ghar meñ chain se bhūke haiñ mere hamsā.e
kisī ke kaam na aa.e to daulateñ kaisī
hamārī saḌkoñ pe bahtī haiñ duudh kī nahreñ
hameñ pata hai ki hotī haiñ jannateñ kaisī
jo bhuuk se haiñ pareshāñ vo kab samajhte haiñ
ki kyā hai zā.iqa hotī haiñ lazzateñ kaisī
bharā ho peT to aatā hai lutf sajdoñ meñ
vagarna kaisī namāzeñ ibādateñ kaisī
na koī fātiha-ḳhvāñ hai na koī dast-e-duā
ye chaar sū nazar aatī haiñ turbateñ kaisī
na jaane kaun sā chhiḌkā hai aab gulchīñ ne
guloñ pe chhā.ī haiñ 'anjum' ye dahshateñ kaisī
ye kaise zulm-o-sitam aur aziyyaten kaisi
paDi hain mere hi pichhe musibaten kaisi
hun ghar mein chain se bhuke hain mere hamsae
kisi ke kaam na aae to daulaten kaisi
hamari saDkon pe bahti hain dudh ki nahren
hamein pata hai ki hoti hain jannaten kaisi
jo bhuk se hain pareshan wo kab samajhte hain
ki kya hai zaiqa hoti hain lazzaten kaisi
bhara ho peT to aata hai lutf sajdon mein
wagarna kaisi namazen ibaadaten kaisi
na koi fatiha-KHwan hai na koi dast-e-dua
ye chaar su nazar aati hain turbaten kaisi
na jaane kaun sa chhiDka hai aab gulchin ne
gulon pe chhai hain 'anjum' ye dahshaten kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.