ye kaisi mohabbat thi ki gham tak nahin pahunche
ye kaisī mohabbat thī ki ġham tak nahīñ pahuñche
kuchh to thī kamī āḳhirī dam tak nahīñ pahuñche
yā apnī du'ā hī nahīñ pahuñchī tire dar tak
yā ham hī ḳhudā tere karam tak nahīñ pahuñche
mahrūmī-e-ulfat ki ye had hai ki ḳhudāyā
dīdār to phir ḳhair sitam tak nahīñ pahuñche
sunñā hai sunā.ūñ maiñ mohabbat ke natā.ej
vo vo rahe maiñ maiñ rahā ham tak nahīñ pahuñche
ye kis kā lahū chīḳh rahā jang kī ḳhātir
ye kaun haiñ jo ab bhī qalam tak nahīñ pahuñche
ye kaisi mohabbat thi ki gham tak nahin pahunche
kuchh to thi kami aaKHiri dam tak nahin pahunche
ya apni du'a hi nahin pahunchi tere dar tak
ya hum hi KHuda tere karam tak nahin pahunche
mahrumi-e-ulfat ki ye had hai ki KHudaya
didar to phir KHair sitam tak nahin pahunche
sunna hai sunaun main mohabbat ke nataej
wo wo rahe main main raha hum tak nahin pahunche
ye kis ka lahu chiKH raha jang ki KHatir
ye kaun hain jo ab bhi qalam tak nahin pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.