Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kaisi tirgi si aa gai hai chand taron mein

Najma Saqib

ye kaisi tirgi si aa gai hai chand taron mein

Najma Saqib

MORE BYNajma Saqib

    ye kaisī tīrgī aa ga.ī hai chāñd tāroñ meñ

    zamīñ-zāde tamāshā dekhne aa.e qatāroñ meñ

    mire gaañv ke kachche rāste meñ dhuul uḌtī hai

    tumhāre shahr ke bachche pale haiñ sabza-zāroñ meñ

    jaTā.eñ aañkh pe Daale koī bargad ye kahtā thā

    mirī shāḳhoñ ke ġhunche ab khileñge kin bahāroñ meñ

    hamāre shahr meñ kuchh naujavāñ aise bhī rahte haiñ

    amīr-e-shahr se bach ke jo so jaate haiñ ġhāroñ meñ

    tumhāre ishq-pesha laal āñkheñ zard-rū le kar

    dhamāleñ Dālne aa.e shikasta dar mazāroñ maiñ

    ye kah ke chal paḌī lailā piyāda-pā manzil ko

    ki Dolī ban ga.ī hai mas.ala sañgīñ kahāroñ meñ

    ye kaisi tirgi si aa gai hai chand taron mein

    zamin-zade tamasha dekhne aae qataron mein

    mere ganw ke kachche raste mein dhul uDti hai

    tumhaare shahr ke bachche pale hain sabza-zaron mein

    jaTaen aankh pe Dale koi bargad ye kahta tha

    meri shaKHon ke ghunche ab khilenge kin bahaaron mein

    hamare shahr mein kuchh naujawan aise bhi rahte hain

    amir-e-shahr se bach ke jo so jate hain ghaaron mein

    tumhaare ishq-pesha lal aankhen zard-ru le kar

    dhamalen Dalne aae shikasta dar mazaron main

    ye kah ke chal paDi laila piyaada-pa hi manzil ko

    ki Doli ban gai hai masala sangin kahaaron mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now