ye kaisi wadi hai ye kaisa ek qabila hai
ye kaisī vaadī hai ye kaisā ik qabīla hai
har ek jism samundar kī tarah niilā hai
tanā huā jo kabhī rahtā thā kamāñ kī tarah
usī badan kā har ik joḌ aaj Dhīlā hai
bhulānā tum ko bahut hī muhāl hai pyāre
tumhāre vāste jazba jo hai haTīlā hai
ye kaise samjhūñ ki tum bhī ho ham-safar mere
tumhāre shahr kā māhaul to rañgīlā hai
hamārī aas kabhī TūTne nahīñ detā
nazar se duur jo raste meñ ek Tiila hai
na jaane kab mire a.asāb sard ho jaa.eñ
dimāġh ḳhushk hai chehre kā rang piilā hai
navāztā hai vahī aur chhīntā hai vahī
koī bhī shaḳhs ho 'shahzād' ek hiila hai
ye kaisi wadi hai ye kaisa ek qabila hai
har ek jism samundar ki tarah nila hai
tana hua jo kabhi rahta tha kaman ki tarah
usi badan ka har ek joD aaj Dhila hai
bhulana tum ko bahut hi muhaal hai pyare
tumhaare waste jazba jo hai haTila hai
ye kaise samjhun ki tum bhi ho ham-safar mere
tumhaare shahr ka mahaul to rangila hai
hamari aas kabhi TuTne nahin deta
nazar se dur jo raste mein ek Tila hai
na jaane kab mere aasab sard ho jaen
dimagh KHushk hai chehre ka rang pila hai
nawazta hai wahi aur chhinta hai wahi
koi bhi shaKHs ho 'shahzad' ek hila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.