ye karishma bhi hum dikha baiThe
ye karishma bhī ham dikhā baiThe
bazm-e-dil meñ unheñ bulā baiThe
aaj qad apnā ham ghaTā baiThe
hāl-e-dil kah ke ġham baḌhā baiThe
sab sunā.ūñgā dil kā haal magar
paas aa kar koī zarā baiThe
aib-jūī use jo karnī hai
haath meñ le ke aa.ina baiThe
aañkh kā ḳhushk ho gayā dariyā
jitne aañsū the sab bahā baiThe
fikr-e-mahshar na fikr-e-uqbā hai
nekiyāñ kitnī vo kamā baiThe
kyā karūñgā sameT kar ḳhushiyāñ
dil kī duniyā hī jab luTā baiThe
bint-e-maryam kā hai idhar se guzar
rāste meñ na sar-phirā baiThe
is meñ koī ġharaz hai poshīda
ghar pe mere haiñ aqrabā baiThe
saḳht-tar hai radīf misre kī
'shād' kis tarah qāfiya baiThe
ye karishma bhi hum dikha baiThe
bazm-e-dil mein unhen bula baiThe
aaj qad apna hum ghaTa baiThe
haal-e-dil kah ke gham baDha baiThe
sab sunaunga dil ka haal magar
pas aa kar koi zara baiThe
aib-jui use jo karni hai
hath mein le ke aaina baiThe
aankh ka KHushk ho gaya dariya
jitne aansu the sab baha baiThe
fikr-e-mahshar na fikr-e-uqba hai
nekiyan kitni wo kama baiThe
kya karunga sameT kar KHushiyan
dil ki duniya hi jab luTa baiThe
bint-e-maryam ka hai idhar se guzar
raste mein na sar-phira baiThe
is mein koi gharaz hai poshida
ghar pe mere hain aqraba baiThe
saKHt-tar hai radif misre ki
'shad' kis tarah qafiya baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.