ye kartab kar dikhana chahta hun
ye kartab kar dikhānā chāhtā huuñ
tujhe maiñ bhuul jaanā chāhtā huuñ
bhaTak jaatā huuñ aksar maiñ inhīñ se
nuqūsh-e-pā miTānā chāhtā huuñ
tujhe hāsil ho ḳhushiyoñ kā tabassum
maiñ tujh se haar jaanā chāhtā huuñ
maiñ bāhar huuñ ta'alluq se diloñ ke
yaqīñ ḳhud ko dilānā chāhtā huuñ
sunā hai zahr meñ lazzat bahut hai
kisī din āzmānā chāhtā huuñ
use ik roz ḳhud dekhūñgā pahle
tamāsha jo dikhānā chāhtā huuñ
mirā apnā to kuchh hai hī nahīñ jab
to phir maiñ kyā gañvānā chāhtā huuñ
bahut din se hī ye vīrāñ paḌī hai
havelī dil kī Dhānā chāhtā huuñ
ye kartab kar dikhana chahta hun
tujhe main bhul jaana chahta hun
bhaTak jata hun aksar main inhin se
nuqush-e-pa miTana chahta hun
tujhe hasil ho KHushiyon ka tabassum
main tujh se haar jaana chahta hun
main bahar hun ta'alluq se dilon ke
yaqin KHud ko dilana chahta hun
suna hai zahr mein lazzat bahut hai
kisi din aazmana chahta hun
use ek roz KHud dekhunga pahle
tamasha jo dikhana chahta hun
mera apna to kuchh hai hi nahin jab
to phir main kya ganwana chahta hun
bahut din se hi ye viran paDi hai
haweli dil ki Dhana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.