ye kaun dastan ko dohra raha hai aaj
ye kaun dāstān ko dohrā rahā hai aaj
jis ko bhulā diyā vahī taḌpā rahā hai aaj
vo hoñge bahra-var jinheñ qurbat huī nasīb
merā to e.atibār uThā jā rahā hai aaj
merā hī thā qusūr ki dil us ko de diyā
us kā ġhurūr mujh pe sitam Dhā rahā hai aaj
mausam bahār kā hai ḳhizāñ kā ḳhabar nahīñ
har samt mujh ko sahrā nazar aa rahā hai aaj
ab tak maiñ us ke pyaar kī tābāniyoñ meñ thī
har ik naqāb ruḳh se uThā jā rahā hai aaj
ye kaun dastan ko dohra raha hai aaj
jis ko bhula diya wahi taDpa raha hai aaj
wo honge bahra-war jinhen qurbat hui nasib
mera to eatibar uTha ja raha hai aaj
mera hi tha qusur ki dil us ko de diya
us ka ghurur mujh pe sitam Dha raha hai aaj
mausam bahaar ka hai KHizan ka KHabar nahin
har samt mujh ko sahra nazar aa raha hai aaj
ab tak main us ke pyar ki tabaniyon mein thi
har ek naqab ruKH se uTha ja raha hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.