ye kaun meri tishnagi baDha baDha ke chal diya
ye kaun merī tishnagī baḌhā baḌhā ke chal diyā
ki lau charāġh-e-dard kī baḌhā baḌhā ke chal diyā
ye merā dil hī jāntā hai kitnā sañg-dil hai vo
ki mujh se apnī dostī baḌhā baḌhā ke chal diyā
bichhaḌ ke us se zindagī vabāl-e-jān ho ga.ī
vo dil meñ shauq-e-ḳhud-kushī baḌhā baḌhā ke chal diyā
karūñ to ab maiñ kis se apnī vus.at-e-nazar kī baat
vo mujh meñ hiss-e-āgahī baḌhā baḌhā ke chal diyā
na diid kī umiid ab na lutf-e-naġhma-e-visāl
ki lai vo sāz-e-hijr kī baḌhā baḌhā ke chal diyā
vo aayā 'akbar' is adā se aaj mere sāmne
ki ik jhalak sī ḳhvāb kī dikhā dikhā ke chal diyā
ye kaun meri tishnagi baDha baDha ke chal diya
ki lau charagh-e-dard ki baDha baDha ke chal diya
ye mera dil hi jaanta hai kitna sang-dil hai wo
ki mujh se apni dosti baDha baDha ke chal diya
bichhaD ke us se zindagi wabaal-e-jaan ho gai
wo dil mein shauq-e-KHud-kushi baDha baDha ke chal diya
karun to ab main kis se apni wusat-e-nazar ki baat
wo mujh mein hiss-e-agahi baDha baDha ke chal diya
na did ki umid ab na lutf-e-naghma-e-visal
ki lai wo saz-e-hijr ki baDha baDha ke chal diya
wo aaya 'akbar' is ada se aaj mere samne
ki ek jhalak si KHwab ki dikha dikha ke chal diya
- Book : Firdaus-e-Khayal (Poetry) (Pg. 42)
- Author : Akbar Hyderabadi
- Publication : Nirali Duniya Publications (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.