ye kaun-o-makan kya hai taswir hai suraj ki
ye kaun-o-makāñ kyā hai tasvīr hai sūraj kī
har ḳhvāb hai sūraj kā ta.abīr hai sūraj kī
raushan haiñ azal se jo ākāsh kī vus.at meñ
in chāñd sitāroñ meñ tanvīr hai sūraj kī
har shai meñ sadā us kī har lafz usī kā hai
har fikr-e-munavvar bhī jāgīr hai sūraj kī
duniyā kī kahānī meñ bas is ke sivā kyā hai
jis samt nazar Daalo tafsīr hai sūraj kī
din raat ke parde meñ lamhāt kī kaḌiyāñ haiñ
ye vaqt kā ā.īna zanjīr hai sūraj kī
maujūd 'mirāq' us ke anvār har ik sū haiñ
be-shak har ik aalam meñ takbīr hai sūraj kī
ye kaun-o-makan kya hai taswir hai suraj ki
har KHwab hai suraj ka tabir hai suraj ki
raushan hain azal se jo aakash ki wusat mein
in chand sitaron mein tanwir hai suraj ki
har shai mein sada us ki har lafz usi ka hai
har fikr-e-munawwar bhi jagir hai suraj ki
duniya ki kahani mein bas is ke siwa kya hai
jis samt nazar Dalo tafsir hai suraj ki
din raat ke parde mein lamhat ki kaDiyan hain
ye waqt ka aaina zanjir hai suraj ki
maujud 'miraq' us ke anwar har ek su hain
be-shak har ek aalam mein takbir hai suraj ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.