ye kaun shaKHs aaj apne darmiyan nahin raha
ye kaun shaḳhs aaj apne darmiyāñ nahīñ rahā
ki jis sabab se mere sar pe sā.ebāñ nahīñ rahā
maiñ qaid-e-jism chhoḌ kar nikal chukā na.e safar
jise talāshte ho tum nahīñ miyāñ nahīñ rahā
zamīñ ke bāsiyoñ ne kab nahīñ kahā ḳhudā ḳhudā
mujhe batā ḳhudā kahāñ rahā kahāñ nahīñ rahā
ye zindagī ke saath ek silsila rahā ajab
zamīñ milī agar to sar pe āsmāñ nahīñ rahā
ravāñ rahā hai jis tarah ye aab merī āñkhoñ se
yaqīñ karo yuuñ bahr-e-nīl meñ ravāñ nahīñ rahā
zamīñ pe chār-sū fazā ye phūñktī rahī diye
ye kab huā ki shahr meñ kabhī dhuāñ nahīñ rahā
ravāñ baras meñ aab yuuñ ajab huā ulaT palaT
chahār samt koī ek bhī makāñ nahīñ rahā
ye kaun shaKHs aaj apne darmiyan nahin raha
ki jis sabab se mere sar pe saeban nahin raha
main qaid-e-jism chhoD kar nikal chuka nae safar
jise talashte ho tum nahin miyan nahin raha
zamin ke basiyon ne kab nahin kaha KHuda KHuda
mujhe bata KHuda kahan raha kahan nahin raha
ye zindagi ke sath ek silsila raha ajab
zamin mili agar to sar pe aasman nahin raha
rawan raha hai jis tarah ye aab meri aankhon se
yaqin karo yun bahr-e-nil mein rawan nahin raha
zamin pe chaar-su faza ye phunkti rahi diye
ye kab hua ki shahr mein kabhi dhuan nahin raha
rawan baras mein aab yun ajab hua ulaT palaT
chahaar samt koi ek bhi makan nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.