ye kaun shama ki surat jala raha hai mujhe
ye kaun sham.a kī sūrat jalā rahā hai mujhe
ye kis ke hijr kā mausam rulā rahā hai mujhe
nazar kā fāsla kuchh der darmiyān rahā
phir is ke baad na apnā patā rahā hai mujhe
tū hī hai chashm-e-basīrat ke sāmne maujūd
ḳhayāl ab na kisī husn kā rahā hai mujhe
mujhe hai ilm ki kyā sirr-e-lā-ilāha hai
maiñ ḳhush huuñ daar kā manzar bulā rahā hai mujhe
mirā vajūd hī merī nazar kā dhokā hai
jalā ke kaun ye ḳhud ko miTā rahā hai mujhe
maiñ dekhtā huuñ har ik samt husn-e-zāt 'ḳhalish'
har aa.ina tirī sūrat dikhā rahā hai mujhe
ye kaun shama ki surat jala raha hai mujhe
ye kis ke hijr ka mausam rula raha hai mujhe
nazar ka fasla kuchh der darmiyan raha
phir is ke baad na apna pata raha hai mujhe
tu hi hai chashm-e-basirat ke samne maujud
KHayal ab na kisi husn ka raha hai mujhe
mujhe hai ilm ki kya sirr-e-la-ilaha hai
main KHush hun dar ka manzar bula raha hai mujhe
mera wajud hi meri nazar ka dhoka hai
jala ke kaun ye KHud ko miTa raha hai mujhe
main dekhta hun har ek samt husn-e-zat 'KHalish'
har aaina teri surat dikha raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.