ye KHabar kul jahan ko di jae
ye ḳhabar kul jahāñ ko dī jaa.e
fāsla rakh ke baat kī jaa.e
ab jo aa hī ga.e aligaḌh ham
kyoñ na chungī pe chaa.e pī jaa.e
baat manvanī ho agar mujh se
qā.ede se hī pesh kī jaa.e
dekh kar us ko sāmne apne
dil kī dhaḌkan rukī rukī jaa.e
āñkheñ āñkhoñ se baat kar rahī haiñ
ḳhāmushī iḳhtiyār kī jaa.e
ye KHabar kul jahan ko di jae
fasla rakh ke baat ki jae
ab jo aa hi gae aligaDh hum
kyon na chungi pe chae pi jae
baat manwani ho agar mujh se
qaede se hi pesh ki jae
dekh kar us ko samne apne
dil ki dhaDkan ruki ruki jae
aankhen aankhon se baat kar rahi hain
KHamushi iKHtiyar ki jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.