ye KHauf bhi nikal dun sar mein nahin rakhun
ye ḳhauf bhī nikāl duuñ sar meñ nahīñ rakhūñ
ghar kā ḳhayāl ab ke safar meñ nahīñ rakhūñ
be-āb kar ke aañkh ko dekhūñ har ek shai
manzar kahīñ kā bhī ho nazar meñ nahīñ rakhūñ
ye gard bhī utaar duuñ is baar jism se
bāhar kī koī chiiz ho ghar meñ nahīñ rakhūñ
ghar-bār chhoḌ duuñ ki yahī chāhtā hai zauq
sūd-o-ziyāñ kī baat hunar meñ nahīñ rakhūñ
āñdhī bhī jaa.e baaġh meñ phal toḌtī phire
maiñ bhī charāġh rāhguzar meñ nahīñ rakhūñ
paimāna-e-vafā ke liye sar hai jaan hai
dil ko magar kisī ke asar meñ nahīñ rakhūñ
dekhūñ to mujh ko kaun nikaltā hai DhūñDhne
kuchh roz aur ḳhud ko ḳhabar meñ nahīñ rakhūñ
ye KHauf bhi nikal dun sar mein nahin rakhun
ghar ka KHayal ab ke safar mein nahin rakhun
be-ab kar ke aankh ko dekhun har ek shai
manzar kahin ka bhi ho nazar mein nahin rakhun
ye gard bhi utar dun is bar jism se
bahar ki koi chiz ho ghar mein nahin rakhun
ghar-bar chhoD dun ki yahi chahta hai zauq
sud-o-ziyan ki baat hunar mein nahin rakhun
aandhi bhi jae bagh mein phal toDti phire
main bhi charagh rahguzar mein nahin rakhun
paimana-e-wafa ke liye sar hai jaan hai
dil ko magar kisi ke asar mein nahin rakhun
dekhun to mujh ko kaun nikalta hai DhunDhne
kuchh roz aur KHud ko KHabar mein nahin rakhun
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 80)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.