ye KHayal-e-shauq-parwar dil ke bahlane ko hai
ye KHayal-e-shauq-parwar dil ke bahlane ko hai
Abdul Kareem Majrooh Siddiqi
MORE BYAbdul Kareem Majrooh Siddiqi
ye ḳhayāl-e-shauq-parvar dil ke bahlāne ko hai
koī be-ruḳh be-ruḳhī se baaz aa jaane ko hai
ye muamma mai-kade meñ kaun suljhāne ko hai
be-ḳhudī hushyār ko aur hosh dīvāne ko hai
rāz-e-dar-parda kā parda ḳhud-baḳhud uTh jā.egā
bas faqat un se nazar do-chār ho jaane ko hai
mai-kade meñ shaiḳh ka aanā shagun achchhā nahīñ
hosh kī le sāqiyā rindoñ ko bahkāne ko hai
sādgī shashdar khaḌī hai shoḳhiyāñ sīna-sipar
ik adā jaane ko hai aur ik adā aane ko hai
allāh allāh ye nizām-e-hosh-o-mastī sāqiyā
hosh mastāne ko hai aur kaif paimāne ko hai
jām-o-mīnā kī zarūrat hī nahīñ 'majrūh' ko
mast nazroñ se koī mad.hosh farmāne ko hai
ye KHayal-e-shauq-parwar dil ke bahlane ko hai
koi be-ruKH be-ruKHi se baz aa jaane ko hai
ye muamma mai-kade mein kaun suljhane ko hai
be-KHudi hushyar ko aur hosh diwane ko hai
raaz-e-dar-parda ka parda KHud-baKHud uTh jaega
bas faqat un se nazar do-chaar ho jaane ko hai
mai-kade mein shaiKH ka aana shagun achchha nahin
hosh ki le saqiya rindon ko bahkane ko hai
sadgi shashdar khaDi hai shoKHiyan sina-sipar
ek ada jaane ko hai aur ek ada aane ko hai
allah allah ye nizam-e-hosh-o-masti saqiya
hosh mastane ko hai aur kaif paimane ko hai
jam-o-mina ki zarurat hi nahin 'majruh' ko
mast nazron se koi madhosh farmane ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.