ye KHayal-o-KHwab si nazdikiyan
ye ḳhayāl-o-ḳhvāb sī nazdīkiyāñ
fāsloñ ke des meñ haiñ beTiyāñ
yaad aate haiñ bulāte haiñ mujhe
jhūle sāvan ke mirī hamjoliyāñ
phir vahī dast-e-shifā māthe pe ho
phir koī mujh ko sunā.e loriyāñ
chāhtā hai sar vahī shāna ho phir
phir koī bāloñ meñ phere uñgliyāñ
dil kī bāteñ tab samajh aatī haiñ jab
raat ho tanhā.ī aur ḳhāmoshiyāñ
kaise durr-e-be-bahā gum ho ga.e
soch aur lafz-o-bayāñ ke darmiyāñ
ham ki tanhā haiñ hujūm-e-shahr meñ
kyā hue vo log un kī bastiyāñ
ye KHayal-o-KHwab si nazdikiyan
faslon ke des mein hain beTiyan
yaad aate hain bulate hain mujhe
jhule sawan ke meri hamjoliyan
phir wahi dast-e-shifa mathe pe ho
phir koi mujh ko sunae loriyan
chahta hai sar wahi shana ho phir
phir koi baalon mein phere ungliyan
dil ki baaten tab samajh aati hain jab
raat ho tanhai aur KHamoshiyan
kaise durr-e-be-baha gum ho gae
soch aur lafz-o-bayan ke darmiyan
hum ki tanha hain hujum-e-shahr mein
kya hue wo log un ki bastiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.