ye KHazana dil-e-saudai kise deta main
ye ḳhazāna dil-e-saudā.ī kise detā maiñ
us kī baḳhshish thī ye tanhā.ī kise detā maiñ
is tire ahd ke rote hue logoñ meñ se
hākim-e-vaqt ye shahnā.ī kise detā maiñ
jis ko de detā use tū hī dikhā.ī detā
baa'd marne ke ye bīnā.ī kise detā maiñ
dastakeñ de ke bharī bastī ke darvāzoñ par
vo shab-e-hijr jo lauT aa.ī kise detā maiñ
maiñ ki izzat ke evaz jis ko uThā laayā thā
tere kūche kī vo rusvā.ī kise detā maiñ
ye KHazana dil-e-saudai kise deta main
us ki baKHshish thi ye tanhai kise deta main
is tere ahd ke rote hue logon mein se
hakim-e-waqt ye shahnai kise deta main
jis ko de deta use tu hi dikhai deta
ba'd marne ke ye binai kise deta main
dastaken de ke bhari basti ke darwazon par
wo shab-e-hijr jo lauT aai kise deta main
main ki izzat ke ewaz jis ko uTha laya tha
tere kuche ki wo ruswai kise deta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.