ye KHazaf mere liye hain ye guhar mere liye
ye KHazaf mere liye hain ye guhar mere liye
Maqbool Ahmad Maqbool
MORE BYMaqbool Ahmad Maqbool
ye ḳhazaf mere liye haiñ ye guhar mere liye
maiñ huuñ maḳhdūm-e-jahāñ hai ḳhushk-o-tar mere liye
jannat-o-dozaḳh bane haiñ arsh par mere liye
aur zamīñ par ehtimām-e-ḳhair-o-shar mere liye
arsh-e-a.azam tak mirī parvāz hai ai be-ḳhabar
aur nahīñ hai ehtiyāj-e-bāl-o-par mere liye
aarzū hai azm-o-himmat hai dil-e-pur-shauq hai
dosto kaafī hai ye raḳht-e-safar mere liye
aaj mujh par hañs rahe haiñ log is kā ġham nahīñ
ek din hogī sabhī kī aañkh tar mere liye
rafta rafta ho ga.e nārāz ai 'maqbūl' sab
zahr bhī ab ho gayā hai be-asar mere liye
ye KHazaf mere liye hain ye guhar mere liye
main hun maKHdum-e-jahan hai KHushk-o-tar mere liye
jannat-o-dozaKH bane hain arsh par mere liye
aur zamin par ehtimam-e-KHair-o-shar mere liye
arsh-e-azam tak meri parwaz hai ai be-KHabar
aur nahin hai ehtiyaj-e-baal-o-par mere liye
aarzu hai azm-o-himmat hai dil-e-pur-shauq hai
dosto kafi hai ye raKHt-e-safar mere liye
aaj mujh par hans rahe hain log is ka gham nahin
ek din hogi sabhi ki aankh tar mere liye
rafta rafta ho gae naraaz ai 'maqbul' sab
zahr bhi ab ho gaya hai be-asar mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.