ye khel bhul-bhulayyan mein humne khela bhi
ye khel bhūl-bhulayyāñ meñ ham ne khelā bhī
tirī talāsh bhī kī aur ḳhud ko DhūñDā bhī
mirā nasīb thī hamvār rāste kī thakan
mirā harīf pahāḌoñ pe chaḌh ke utrā bhī
ye aarzū thī ki yak-rañg ho ke jī letā
magar vo aañkh jo shaitāñ bhī hai farishta bhī
samundaroñ se guhar kab ke ho ga.e nāpaid
bhañvar ke saath maiñ gahrā.iyoñ meñ utrā bhī
barahnagī pe bhī guzrā qabā-e-zar kā gumāñ
libās par huā juzv-e-badan kā dhokā bhī
garajne vaale baraste nahīñ ye sunte the
guzishta raat vo garjā bhī aur barsā bhī
ye khel bhul-bhulayyan mein hum ne khela bhi
teri talash bhi ki aur KHud ko DhunDa bhi
mera nasib thi hamwar raste ki thakan
mera harif pahaDon pe chaDh ke utra bhi
ye aarzu thi ki yak-rang ho ke ji leta
magar wo aankh jo shaitan bhi hai farishta bhi
samundaron se guhar kab ke ho gae napaid
bhanwar ke sath main gahraiyon mein utra bhi
barahnagi pe bhi guzra qaba-e-zar ka guman
libas par hua juzw-e-badan ka dhoka bhi
garajne wale baraste nahin ye sunte the
guzishta raat wo garja bhi aur barsa bhi
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.