ye KHwab jo ham-safar hain mere
ye ḳhvāb jo ham-safar haiñ mere
qātil haiñ ki chārāgar haiñ mere
vo sāmne āsmāñ hai lekin
bhīge hue bāl-o-par haiñ mere
maiñ sham.a kahāñ kahāñ jalā.ūñ
bastī ke tamām ghar haiñ mere
mere liye kitnī der ro.eñ
ye log jo chārāgar haiñ mere
ye shaam kahāñ se aa rahī hai
mahke hue bām-o-dar haiñ mere
phailā to girūñgā āsmāñ par
paañv aisī zamīn par haiñ mere
dariyā ne bahut diyā hai 'qaisar'
kashtī na sahī bhañvar haiñ mere
ye KHwab jo ham-safar hain mere
qatil hain ki chaaragar hain mere
wo samne aasman hai lekin
bhige hue baal-o-par hain mere
main shama kahan kahan jalaun
basti ke tamam ghar hain mere
mere liye kitni der roen
ye log jo chaaragar hain mere
ye sham kahan se aa rahi hai
mahke hue baam-o-dar hain mere
phaila to girunga aasman par
panw aisi zamin par hain mere
dariya ne bahut diya hai 'qaisar'
kashti na sahi bhanwar hain mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.