Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye KHwab ki bedari-e-taqdir-e-mohabbat

Zaheen Shah Taji

ye KHwab ki bedari-e-taqdir-e-mohabbat

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    ye ḳhvāb ki bedārī-e-taqdīr-e-mohabbat

    ye ḳhvāb ki afsāna-e-tāsīr-e-mohabbat

    qur.ān-e-mohabbat hai ki tafsīr-e-mohabbat

    har lafz meñ hai āya-e-tat.hīr-e-mohabbat

    vo 'ishq ārāsta pairāsta timsāl

    maiñ husn khīñchī huī tasvīr-e-mohabbat

    sar-tā-ba-qadam jalva-e-allāhu-jamīlun

    vo husn ke anvār-o-tanvīr-e-mohabbat

    qurbān maiñ un nigah-e-nāz ke qurbāñ

    sau jaan se dil hai hadaf-e-tīr-e-mohabbat

    duniyā-e-mohabbat meñ ḳhirad kaam na aa.ī

    hai kār-e-junūñ sāhib-e-taqdīr-e-mohabbat

    sad-shukr ki uTh ga.e vo hosh ke parde

    kaam aa gayā nāla-e-shabgīr-e-mohabbat

    jis vaqt huā josh-e-junūñ silsila-e-jumbāñ

    har saañs banā halqa-e-zanjīr-e-mohabbat

    vo qalb dhaḌkan meñ mohabbat ke fasāne

    goyā lab-e-ḳhāmosh meñ taqrīr-e-mohabbat

    kal raat ko mehmān thā vīrāna-e-dil meñ

    me'mār-e-junūñ sāhib-e-tā'mīr-e-mohabbat

    ye KHwab ki bedari-e-taqdir-e-mohabbat

    ye KHwab ki afsana-e-tasir-e-mohabbat

    quran-e-mohabbat hai ki tafsir-e-mohabbat

    har lafz mein hai aaya-e-tathir-e-mohabbat

    wo 'ishq ki aarasta pairasta timsal

    main husn ki khinchi hui taswir-e-mohabbat

    sar-ta-ba-qadam jalwa-e-allahu-jamilun

    wo husn ke anwar-o-tanwir-e-mohabbat

    qurban main un ki nigah-e-naz ke qurban

    sau jaan se dil hai hadaf-e-tir-e-mohabbat

    duniya-e-mohabbat mein KHirad kaam na aai

    hai kar-e-junun sahib-e-taqdir-e-mohabbat

    sad-shukr ki uTh hi gae wo hosh ke parde

    kaam aa hi gaya nala-e-shabgir-e-mohabbat

    jis waqt hua josh-e-junun silsila-e-jumban

    har sans bana halqa-e-zanjir-e-mohabbat

    wo qalb ki dhaDkan mein mohabbat ke fasane

    goya lab-e-KHamosh mein taqrir-e-mohabbat

    kal raat ko mehman tha virana-e-dil mein

    me'mar-e-junun sahib-e-ta'mir-e-mohabbat

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now