ye KHwab toD diye hain qarar-e-jaan ke liye
ye KHwab toD diye hain qarar-e-jaan ke liye
Mohammad Muzammil Khan
MORE BYMohammad Muzammil Khan
ye ḳhvāb toḌ diye haiñ qarār-e-jāñ ke liye
hai dāstāñ kī zarūrat mujhe jahāñ ke liye
maiñ muḳhtalif sā bashar jo ġhazal kā dīvāna
huuñ she'r kahtā sar-e-bazm gulsitāñ ke liye
tū ek baar to kah de ki 'ishq hai mujh se
maiñ chāñd qadmoñ meñ rakh dūñgā merī jaañ ke liye
jo karnā bhuul chuke ehtirām 'aurat kā
vo jaan kyā hī luTā.eñge is jahāñ ke liye
ye KHwab toD diye hain qarar-e-jaan ke liye
hai dastan ki zarurat mujhe jahan ke liye
main muKHtalif sa bashar jo ghazal ka diwana
hun she'r kahta sar-e-bazm gulsitan ke liye
tu ek bar to kah de ki 'ishq hai mujh se
main chand qadmon mein rakh dunga meri jaan ke liye
jo karna bhul chuke ehtiram 'aurat ka
wo jaan kya hi luTaenge is jahan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.