ye kin qadmon ki miTTi bolti hai
ye kin qadmoñ kī miTTī boltī hai
safar kā mā-hasal bas gumrahī hai
badan meñ sarsarātā hai koī lams
koī āvāz mujh meñ gūñjtī hai
sar-e-manzar ulajhtā jā rahā hai
girah tār-e-nazar meñ paḌ rahī hai
ba-har-sū raqs-e-bismil dekhtā huuñ
ḳhudā jaane ye kaisī āgahī hai
jise tum dil hamārā kah rahe ho
bharī barsāt kī suunī galī hai
sadā.eñ shor kartī phir rahī haiñ
magar dāman ki lafzoñ se tihī hai
ye kin qadmon ki miTTi bolti hai
safar ka ma-hasal bas gumrahi hai
badan mein sarsaraata hai koi lams
koi aawaz mujh mein gunjti hai
sar-e-manzar ulajhta ja raha hai
girah tar-e-nazar mein paD rahi hai
ba-har-su raqs-e-bismil dekhta hun
KHuda jaane ye kaisi aagahi hai
jise tum dil hamara kah rahe ho
bhari barsat ki suni gali hai
sadaen shor karti phir rahi hain
magar daman ki lafzon se tihi hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 94)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.