ye kis hasin ne logon ko rok rakkha hai
ye kis hasīn ne logoñ ko rok rakkhā hai
tamām shahr ke rastoñ ko rok rakkhā hai
nikal paḌeñ na kahīñ paane apnī ta.abīreñ
isī liye sabhī ḳhvāboñ ko rok rakkhā hai
vo kah rahe haiñ kaho dil kī baat baat magar
na jaane kyuuñ ka.ī bātoñ ko rok rakkhā hai
dalīleñ dene ko de sakte haiñ hazār magar
sabhī havāloñ javāzoñ ko rok rakkhā hai
abhī hayāt ke goshe chhupe hue haiñ bahut
kisī ne kyuuñ sabhī rañgoñ ko rok rakkhā hai
na apne-āp meñ ho jaa.e ġharq dariyā bhī
zamīñ ne kaise kināroñ ko rok rakkhā hai
na raaz faash kabhī hoñ zamīn vāloñ ke
falak ne chāñd sitāroñ ko rok rakkhā hai
tamām log hī pāgal na ho ke rah jaa.eñ
numā.ishoñ se hasīnoñ ko rok rakkhā hai
tamām shahr ko raushan na hone deñge kabhī
hamāre sīnoñ kī aagoñ ko rok rakkhā hai
diye bujhātī bhī haiñ to jalātī bhī haiñ yahī
ye kis ne tund havāoñ ko rok rakkhā hai
na kaam karne ke karte na karne dete haiñ
hamāre ḳhvāsoñ ne aamoñ ko rok rakkhā hai
hamārī rāhnumā.ī ko raste kaafī the
pa zulmatoñ ne bhī rastoñ ko rok rakkhā hai
kisī kisī ko hai haq zinda rahne kā hāsil
dukhoñ ne logoñ kī sāñsoñ ko rok rakkhā hai
bhale zamāne kī ummīd par abhī 'rūhī'
bahut zarūrī bhī kāmoñ ko rok rakkhā hai
ye kis hasin ne logon ko rok rakkha hai
tamam shahr ke raston ko rok rakkha hai
nikal paDen na kahin pane apni tabiren
isi liye sabhi KHwabon ko rok rakkha hai
wo kah rahe hain kaho dil ki baat baat magar
na jaane kyun kai baaton ko rok rakkha hai
dalilen dene ko de sakte hain hazar magar
sabhi hawalon jawazon ko rok rakkha hai
abhi hayat ke goshe chhupe hue hain bahut
kisi ne kyun sabhi rangon ko rok rakkha hai
na apne-ap mein ho jae gharq dariya bhi
zamin ne kaise kinaron ko rok rakkha hai
na raaz fash kabhi hon zamin walon ke
falak ne chand sitaron ko rok rakkha hai
tamam log hi pagal na ho ke rah jaen
numaishon se hasinon ko rok rakkha hai
tamam shahr ko raushan na hone denge kabhi
hamare sinon ki aagon ko rok rakkha hai
diye bujhati bhi hain to jalati bhi hain yahi
ye kis ne tund hawaon ko rok rakkha hai
na kaam karne ke karte na karne dete hain
hamare KHwason ne aamon ko rok rakkha hai
hamari rahnumai ko raste kafi the
pa zulmaton ne bhi raston ko rok rakkha hai
kisi kisi ko hai haq zinda rahne ka hasil
dukhon ne logon ki sanson ko rok rakkha hai
bhale zamane ki ummid par abhi 'ruhi'
bahut zaruri bhi kaamon ko rok rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.