ye kis ka guman hai tasawwur se aage
ye kis kā gumāñ hai tasavvur se aage
mohabbat javāñ hai tasavvur se aage
havā rang ḳhushbū chaman raushnī gul
hasīñ ik samāñ hai tasavvur se aage
yahāñ muḳhtasar sī kahānī hai apnī
baḌī dāstāñ hai tasavvur se aage
zamīñ ke masā.il zamīñ par hī socho
faqat āsmāñ hai tasavvur se aage
yahāñ tujh ko sajda karūñ bhī to kaise
tirā āstāñ hai tasavvur se aage
tasavvur meñ tū hai to raushan hai duniyā
dhuāñ hī dhuāñ hai tasavvur se aage
tasavvur kī had tak raho tum bhī 'gauhar'
kaḌā imtihāñ hai tasavvur se aage
ye kis ka guman hai tasawwur se aage
mohabbat jawan hai tasawwur se aage
hawa rang KHushbu chaman raushni gul
hasin ek saman hai tasawwur se aage
yahan muKHtasar si kahani hai apni
baDi dastan hai tasawwur se aage
zamin ke masail zamin par hi socho
faqat aasman hai tasawwur se aage
yahan tujh ko sajda karun bhi to kaise
tera aastan hai tasawwur se aage
tasawwur mein tu hai to raushan hai duniya
dhuan hi dhuan hai tasawwur se aage
tasawwur ki had tak raho tum bhi 'gauhar'
kaDa imtihan hai tasawwur se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.