ye kis ke aane ke imkan dikhai dete hain
ye kis ke aane ke imkāñ dikhā.ī dete haiñ
dil o nigāh ġhazal-ḳhvāñ dikhā.ī dete haiñ
vo ahl-e-dil jo tire aasre pe jiite the
rahīn-e-gardish-e-daurāñ dikhā.ī dete haiñ
hameñ to aaj bhī ġham-hā-e-do-jahāñ haiñ aziiz
vo aur haiñ jo gurezāñ dikhā.ī dete haiñ
ik aag phir bhaḌak uTThī hai diida o dil meñ
kuchh ashk phir sar-e-mizhgāñ dikhā.ī dete haiñ
ye kis ke jalva-e-rañgīñ kā aks hai 'shahzād'
dil o nigāh firozāñ dikhā.ī dete haiñ
ye kis ke aane ke imkan dikhai dete hain
dil o nigah ghazal-KHwan dikhai dete hain
wo ahl-e-dil jo tere aasre pe jite the
rahin-e-gardish-e-dauran dikhai dete hain
hamein to aaj bhi gham-ha-e-do-jahan hain aziz
wo aur hain jo gurezan dikhai dete hain
ek aag phir bhaDak uTThi hai dida o dil mein
kuchh ashk phir sar-e-mizhgan dikhai dete hain
ye kis ke jalwa-e-rangin ka aks hai 'shahzad'
dil o nigah firozan dikhai dete hain
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 205)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.