ye kis ke KHayal-e-nazuk se zehnon ka daricha raushan hai
ye kis ke ḳhayāl-e-nāzuk se zehnoñ kā darīcha raushan hai
ye kis ke aks-e-tabassum se ābād diloñ kā darpan hai
ehsās ke ġhunche khilte haiñ yādoñ kī hasīñ purvā.ī se
har shab ke shagufta pahlū meñ ḳhvāboñ kā mahaktā gulshan hai
ik husn-e-mujassam kā jab se āñkhoñ ne sarāpā chūmā hai
kuchh hosh nahīñ mad.hosh hue kuchh aql-o-ḳhirad se an-ban hai
ye rang-e-chaman ye bazm-e-suḳhan ye ālam-e-mastī raqs-o-tarab
ham jām-o-subū ko chalkā.eñ jab raat kā rangīñ dāman hai
is mahfil-e-ḳhūbāñ kā mai-kash kyā rang-o-samāñ hai mat pūchho
alfāz kī zarrīñ bārish hai naġhmāt kī har-sū chhan-chhan hai
ye kis ke KHayal-e-nazuk se zehnon ka daricha raushan hai
ye kis ke aks-e-tabassum se aabaad dilon ka darpan hai
ehsas ke ghunche khilte hain yaadon ki hasin purwai se
har shab ke shagufta pahlu mein KHwabon ka mahakta gulshan hai
ek husn-e-mujassam ka jab se aankhon ne sarapa chuma hai
kuchh hosh nahin madhosh hue kuchh aql-o-KHirad se an-ban hai
ye rang-e-chaman ye bazm-e-suKHan ye aalam-e-masti raqs-o-tarab
hum jam-o-subu ko chalkaen jab raat ka rangin daman hai
is mahfil-e-KHuban ka mai-kash kya rang-o-saman hai mat puchho
alfaz ki zarrin barish hai naghmat ki har-su chhan-chhan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.