ye kis ki bazm ke qisse suna raha hun aaj
ye kis kī bazm ke qisse sunā rahā huuñ aaj
tamāshā kyoñ 'ḳhalish' apnā banā rahā huuñ aaj
yahī javāb hai ab be-karāñ añdheroñ kā
tumhāre naam kī sham.eñ jalā rahā huuñ aaj
ab aur taab nahīñ dard-e-hijr sahne kī
chale bhī aao ki maiñ ḳhud bulā rahā huuñ aaj
kisī kī yaad ke tūfān baḌhte aate haiñ
kisī ḳhayāl meñ Duubā hī jā rahā huuñ aaj
sahar huī magar āñkhoñ se niiñd rūThī hai
'ḳhalish' maiñ shaam se kyā sochtā rahā huuñ aaj
ye kis ki bazm ke qisse suna raha hun aaj
tamasha kyon 'KHalish' apna bana raha hun aaj
yahi jawab hai ab be-karan andheron ka
tumhaare nam ki shamen jala raha hun aaj
ab aur tab nahin dard-e-hijr sahne ki
chale bhi aao ki main KHud bula raha hun aaj
kisi ki yaad ke tufan baDhte aate hain
kisi KHayal mein Duba hi ja raha hun aaj
sahar hui magar aankhon se nind ruThi hai
'KHalish' main sham se kya sochta raha hun aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.