ye kis ki KHushbu DhunDe hai ye kis ka daman mange hai
ye kis kī ḳhushbū DhūñDe hai ye kis kā dāmāñ māñge hai
do-chār guloñ kī baat nahīñ dil saarā gulistāñ māñge hai
har aabla nashtar chāhe hai har zaḳhm namak-dāñ māñge hai
ye 'ishq-e-vafā-pesha un se bedād-e-farāvāñ māñge hai
ho mehr-o-vafā kī ek kiran yā jalte diye kuchh ashkoñ ke
ye tīra-nasībī tīra-shabī ik sham'-e-farozāñ māñge hai
phir nāḳhun-e-ġham baḌh aa.e haiñ phir sar meñ hai saudā sahrā kā
ye shauq-e-numū ye zauq-e-junūñ phir fasl-e-bahārāñ māñge hai
ai dil jab ġham raas aa hī gayā phir minnat-e-chāra-sāzāñ kyā
ab dard hī 'ain-e-darmāñ hai kyoñ dard kā darmāñ māñge hai
ye kis ki KHushbu DhunDe hai ye kis ka daman mange hai
do-chaar gulon ki baat nahin dil sara gulistan mange hai
har aabla nashtar chahe hai har zaKHm namak-dan mange hai
ye 'ishq-e-wafa-pesha un se bedad-e-farawan mange hai
ho mehr-o-wafa ki ek kiran ya jalte diye kuchh ashkon ke
ye tira-nasibi tira-shabi ek sham'-e-farozan mange hai
phir naKHun-e-gham baDh aae hain phir sar mein hai sauda sahra ka
ye shauq-e-numu ye zauq-e-junun phir fasl-e-bahaaran mange hai
ai dil jab gham ras aa hi gaya phir minnat-e-chaara-sazan kya
ab dard hi 'ain-e-darman hai kyon dard ka darman mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.