ye kis maqam-e-tamanna se dil guzarne laga
ye kis maqām-e-tamannā se dil guzarne lagā
havā hai jism meñ ik zahr sā utarne lagā
ulajh rahā hai tirī bū-e-pairahan se badan
ki phuul halqa-e-bāzū kā kaam karne lagā
havā-e-dard ne mohlat na dī sambhalne kī
nuqūsh-e-yād sameTe to maiñ bikharne lagā
vo thā sitāra-e-rañgīñ ki māhtāb kī qaash
huī jo shab to tire lab pe rañg ubharne lagā
huā kuchh is tarah insāf bhī ravā 'jamshed'
ki munsifoñ se dil-e-be-gunāh Darne lagā
ye kis maqam-e-tamanna se dil guzarne laga
hawa hai jism mein ek zahr sa utarne laga
ulajh raha hai teri bu-e-pairahan se badan
ki phul halqa-e-bazu ka kaam karne laga
hawa-e-dard ne mohlat na di sambhalne ki
nuqush-e-yaad sameTe to main bikharne laga
wo tha sitara-e-rangin ki mahtab ki qash
hui jo shab to tere lab pe rang ubharne laga
hua kuchh is tarah insaf bhi rawa 'jamshed'
ki munsifon se dil-e-be-gunah Darne laga
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 581)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.