ye kis maqam se aaKHir palaT gaya hai tu
ye kis maqām se āḳhir palaT gayā hai tū
mire habīb batā kis jagah chhupā hai tū
hayāt aa ke yahāñ par Thaharne vaalī hai
kisī ke paañv kī aahaT pe boltā hai tū
jahāñ bhī shaam huī mujh ko terī yaad aa.ī
shab-e-firāq meñ sun āḳhirī duā hai tū
guzartā vaqt kahāñ ḳhud ko bhī chhupā paayā
zamāna jis meñ ayaañ hai vo ā.īna hai tū
kisī ne dekhā kahāñ vasl kī ghaḌī kā mizāj
hamārī jaañ pe banī aur hañs rahā hai tū
kitāb-e-qalb pe sūd-o-ziyāñ kī baat na likh
savād-e-dard hai tū dard-e-lā-davā hai tū
kabhī jalā.e mujhe aur paar utāre kabhī
mirā ḳhudā bhī hai aur nāḳhudā hai tū
tire sivā mire zaḳhmoñ kā indimāl nahīñ
mirī ḳhushī se mire ġham se āshnā hai tū
zamāne guzre to 'īraj' ne bhī yahī samjhā
ki ibtidā se juḌī merī intihā hai tū
ye kis maqam se aaKHir palaT gaya hai tu
mere habib bata kis jagah chhupa hai tu
hayat aa ke yahan par Thaharne wali hai
kisi ke panw ki aahaT pe bolta hai tu
jahan bhi sham hui mujh ko teri yaad aai
shab-e-firaq mein sun aaKHiri dua hai tu
guzarta waqt kahan KHud ko bhi chhupa paya
zamana jis mein ayan hai wo aaina hai tu
kisi ne dekha kahan wasl ki ghaDi ka mizaj
hamari jaan pe bani aur hans raha hai tu
kitab-e-qalb pe sud-o-ziyan ki baat na likh
sawad-e-dard hai tu dard-e-la-dawa hai tu
kabhi jalae mujhe aur par utare kabhi
mera KHuda bhi hai aur naKHuda hai tu
tere siwa mere zaKHmon ka indimal nahin
meri KHushi se mere gham se aashna hai tu
zamane guzre to 'iraj' ne bhi yahi samjha
ki ibtida se juDi meri intiha hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.